Wednesday, July 20, 2011

Duniya aur Dil

Dil ki gehrayi mein bhi ek dariya hai,
Jidhar misal bante hain duniya ke,
Ek aas hai us dariye mein,
Joh sans bharte hai uske karam ke.

Khuda gawah banta hai bande ka,
Jab duniya daron ko fursat nahi,
Tare jawab dete hai virani mein,
Jab jeene ka koi maqsad nahi.

Taane milte hai jogion ko,
Jo apne rah badal dalte hai,
Ankhein dhoondti hain us khoobion ko,
Joh insan na kabhi azma pate hai.

Ghurbat mein bhi ujala hai,
Jo jalata hai chiragh umeed ka,
Dil mein bhi ek tala hai,
Jo chupata hai khauf har gharoor ka.

Kehte hain aman chahiye toh duniya ko paraya samjho
Toh azadi ki khushal har admi ko sar basse gi
Agar duniya ko tum apnalo
Toh rooh ki pyas kabhi na bujhe gi.

No comments:

Post a Comment